Ai Kash Dile Nadan Song Lyrics - Imaandar Lyrics

Ai Kash Dile Nadan Lyrics from Imaandar Lyrics (bollywood) sung by suresh wadkar. This song is composed by kalyanji-anandji with lyrics penned by anjaan, prakash mehra. Imaandar Lyrics (bollywood) film stars ,the songs were released in .

Ai kash dile nadan – (2) Aaisa na kiya hota pyar kiya hota Sauda na kiya hota pyar kiya hota Sauda na kiya hota, ai kash dile nadan……

Wada wafa kaa hamne kis mod pe hain toda – (2) Haste kisee chaman ko (viran karke chhodha -2) Masum kisee dil ko dhokha na diya hota – (2) Pyar kiya hota sauda na kiya hota, ai kash dile nadan….

Khwabo ke ashiya pe bijalee girayee hamne – (2) Daulat se mohabbat kee (kimat lagayee hamne -2) Nilam mai huwa tha dil toh na bika hota – (2) Pyar kiya hota sauda na kiya hota, ai kash dile nadan

Ek bejuban dil kee duneeya tabah kar ke – (2) Laute hai aaj ham yeh (kaisa gunah karke -2) Yu nam mohabbat kaa ruswa na kiya hota – (2) Pyar kiya hota sauda na kiya hota, aaye kash dile nadan Aaisa na kiya hota pyar kiya hota Sauda na kiya hota, aaye kash dile nadan