Banvara Mann Dekhne Chala Ek Sapna Song Lyrics - Hazaaron Khwaahishen Aisi Lyrics

Banvara Mann Dekhne Chala Ek Sapna Lyrics from Hazaaron Khwaahishen Aisi Lyrics (bollywood) sung by shubha mudgal. This song is composed by shantanu moitra . Hazaaron Khwaahishen Aisi Lyrics (bollywood) movie and the songs were released in . Banvara Mann Dekhne Chala Ek Sapna Lyrics from Hazaaron Khwaahishen Aisi Lyrics: shubha mudgal sings this bollywood song for Hazaaron Khwaahishen Aisi Lyrics film with music by shantanu moitra

Refrain Banvara mann dekhne chala ek sapna – (2)

Banvare se mann kee dekho, banvaree hain bate – (2) Banvaree see dhadkane hain, banvaree hain sansein Banvaree see karvaton se nindiya too bhage Banvare se nain chahe, banvare jharokho se Banvare najaro ko takna

Banvare se iss jahan me, banvara ek sath ho Iss sayanee bhid me, bas hathon me teraa hath ho Banvaree see dhun ho koyee, banvara ek rag ho – (2) Banvare se pair chahe, banvare tarano ke Banvare se bol pe thirakna

Banvara sa ho andhera, banvaree khamoshiya – (2) Thartharatee lau ho maddham, banvaree madhoshiya Banvara ek ghungta chahe, haule haule bin bataye – (2) Banvare se mukhde se sarakna

(Refrain) – (4)