Iss Desh Ke Jawano Ko Abb Aajmaya Jayega Song Lyrics - Farz (1947) Lyrics

Iss Desh Ke Jawano Ko Abb Aajmaya Jayega lyrics Farz (1947) Lyrics is a hindi movie , this movie released in . The soundtrack album is composed by k s saagar. Produced by

Iss desh ke jawano ko abb aajmaya jayega, aajmaya jayega – (2)

Shola hai jamin banee bijlee giraye aasman Aag ke sholo pe chala desh kaa yeh karwan Kaun sina tan nikale -2, desh mere kaa jawan Hind par woh mar mite uncha kare komee nishan – (2) Kaun aage badhke pehle pehalee golee khayega Aajmaya jayega

Desh kee vidhwa pukare bhag jinke so gaye Saye sar se utha gaye bachhe yatim ho gaye Gurbat kaa ek tufan utha -2, bahano se bhai kho gaye Matao kee aankho ke tare rote rote so gaye Kaun aaj inn deviyo ke rote dil hansayega Aajmaya jayega

Iss desh ke jawano ko abb aajmaya jayega, aajmaya jayega

Umange mit rahee hain aaj benamo nishan ho kar Bata ai katibe kismat likha kaya badguman ho kar

Tavakko thee woh aayenge toh dil ko chain aaye ga Magar betabiya utthee kaleje me jawan ho kar