Apanee tasvir ko aankho se lagata kya hai Ik najar meree taraf bhee teraa jata kya hai
Meree rusvayee me woh bhee hain barabar ke sharik Mere kisse mere yaro ko sunata kya hai
Pas rah kar bhee na pehchan saka tu mujhko Dur se dekh ke abb hath hilata kya hai
Umrr bhar apane gireban se ulajhane wale Tu mujhe mere hee saye se darata kya hai
Mai teraa kuchh bhee nahee hu magar itna toh bata Dekh kar mujhko tere jahan me aata kya hai
Safare shauk me kyun kanpate hain panv tere Dur se dekh ke abb hath hilata kya hai
Mar gaye pyas ke mare toh utha abre karam Bujh gayee bajm toh abb shamma jalata kya hai
| Movie / Album | Enchanting Hour Lyrics |
| Language | Hindi |
| Singer's | Ghulam Ali |
| Music Director | Ghulam Ali |