Hamko Tumhare Ishq Ne Song Lyrics - Ek Musafir Ek Hasina Lyrics

Ek Musafir Ek Hasina Lyrics is a hindi movie , this movie released in . . . The song lyrics of Hamko Tumhare Ishq Ne are below

Aa aa aa aa… Hamko tumhaare ishq ne kyaa kyaa banaa diyaa Jab kuchh na ban sake to tamaashaa banaa diyaa Hamko tumhaare ishq ne kyaa-kyaa banaa diyaa

Kaashi se kuchh gharaz thi na qaabe se vaastaa Ham dhoondhne chale the mohabbat kaa raastaa.. Dekhaa tumhaare dar ko to sar ko jhukaa diyaa Jab kuchh na ban sake to tamaashaa banaa diyaa

Dil ki lagi ne kar diyaa donon ko beqaraar Dohraa ke daastaan-e-mohabbat phir ek baar Majnoon hamen aur aapko lailaa banaa diyaa Jab kuchh na ban sake to tamaashaa banaa diyaa

Nikle teri talaash mein aur khud hi kho gaye Kuchh ban padi na hamse to deevaane ho gaye.. Deevaangi mein phir teraa koochaa dikhaa diyaa Jab kuchh na ban sake to tamaashaa banaa diyaa

Jalvon ki bheekh phenkne vaale ki khair ho Pardaa hataake dekhne vaale ki khair ho.. Ban ke bhikhaari ishq ne daaman bichhaa diyaa Jab kuchh na ban sake to tamaashaa banaa diyaa Hamko tumhaare ishq ne kyaa kyaa banaa diyaa

Aa aa aa aa aa…