Bhula Diya Tere Ishq Mein Khud Ko Bhula Diya Song Lyrics - Dus Kahaniyaan Lyrics

Bhula Diya Tere Ishq Mein Khud Ko Bhula Diya Lyrics: Song from Dus Kahaniyaan Lyrics movie sung by anand raj anand, song is composed by anand raj anand, anu malik, bappi lahiri, shafqat ali khan, shibani kashyap, strings.

Kabhi aayato mein padha tujhe, kabhi harf harf likha tujhe – 2 Kabhi dil se tujhko pukaar ke, koyi sher apna koyi suna diya Bhula diya, bhula diya, tere ishq mein khud ko bhula diya – 2

Yeh ajeeb ishq ke khel hai, jahaan lajjaton mein kami nahi – 2 Kabhi maine tujho hasa diya – 2, kabhi tune mukjko rula diya Bhula diya, bhula diya, tere ishq mein khud ko bhula diya – 2

Bekhudi mein maza aa raha hai bada, (dil tabaah hai to kya – 2)

Teri raah se jo nikal gaye, woh deewaane banke machal gaye – 2 Kabhi humne ki teri arzoo – 2, toh bata de yeh kya gunaah kiya Bhula diya, bhula diya, tere ishq mein khud ko bhula diya – 2

Kabhi aayato mein padha tujhe, kabhi harf harf likha tujhe – 2 Kabhi dil se tujhko pukar ke, koyi sher apna koyi suna diya Bhula diya, bhula diya, tere ishq mein khud ko bhula diya – 2