Buddham Saranam Gachchhami Song Lyrics - Angulimaal Lyrics

Angulimaal Lyrics is a hindi movie , this movie released in . The soundtrack album is composed by anil biswas. . The song lyrics of Buddham Saranam Gachchhami are below

Buddham saranam gachchhami – (2) Sangham saranam gachchhami

Ghabarae jab mann anmol, hriday ho uthe danvadol

Ghabarae jab mann anmol, aur hriday ho danvadol Tab manav too mukh se bol, buddham saranam gachchhami

Jab ashanti kaa rag uthe, lal lahu kaa phag uthe Hinsa kee woh aag uthe, manav me pashu jag uthe Upar se muskate nar, bhitar zeher rahe ho ghol Tab manav too mukh se bol, buddham saranam gachchhami

Jab duhkh kee ghadiyan aaye, sach par jhuth vijay paye Iss nirmal pawan mann par, jab kalank ke ghan chhaye Anyayo kee andhi me, kan uthe jab tere dol

Ruth gaya jab sun ne vala, kis se karuun pukar Pyar kaha pehchan saka yeh, yeh nirday sansar

Nirdaayata jab le le dham, daaya huyi ho antaryam Jab yeh chhota sa insan, bhul raha apna bhagavan Satya tera jab ghabaraye, shradhdhha ho jab danvadol

Jab dooniya se pyar uthe, nafarat kee diwar uthe Man kee mamata par jis din, bete kee talawar uthe Dharati kee kaaya kanpe, anbar dagamag uthe dol Tab manav too mukh se bol, buddham saranam gachchhami

Dur kiya jis ne jan-jan ke vyakul mann kaa andhiyara Jisaki ek kiran ko chhukar chamak utha yeh jag sara

Deep saty kaa sada jale, daaya ahinsa sada phale Sukh shanti kee chhaya me jan gan man kaa prem pale Bharat ke bhagawan buddha kaa gunje ghar ghar mantra amol He manav nit mukh se bol, buddham saranam gachchhami