Raadha ke pyaare krisn kanhaai Teri duhaai -2
Ham bhi hain tere Kuch to daya kar Laakhon ki tune Bigadi banaai
Raadha ke pyaare
Tu unka hai koi na jinka Ho jag saagar hai main tinka Toofaan se aaj bacha le O mere paahan kaale Fariyaad main le kar Tere dwaar aayi
Krisn kanhaai more krisn kanhaai
Ham bhi hain tere Kuch to daya kar Laakhon ki tune Bigadi banaayi
Sansaar ka tu hai raaja O nirdhan ke kaam bhi aa ja Preetam ka saath na choote Beqas ki aas na toote Main aasha ki kaliyaan Charanon mein laai
Krisn kanhaai more krisn kanhaai
Ham bhi hain tere Kuch to daya kar Laakhon ki toone Bigadi banaayi
Raadha ke pyaare
| Movie / Album | Amar Lyrics |
| Language | Hindi |
| Singer's | Asha Bhosle |
Lyricist : Shakeel Badayuni
Singer : Lata Mangeshkar