Kaha woh bachpan kaa pyara sapna – (2) Swarg bhari woh prem kee raina – (2) Kaha woh bachpan kaa pyara sapna
Bagiyan me miljul ke jana, phulo kaa woh mahal banana – (2) Dulha dulhan ban byah rachana – (2) Aanchal dhal ko jan me phirana pyara sapna Kaha woh bachpan kaa pyara sapna
Hay achanak huwa savera, jag maya ne mann ko ghera – (2) Ujad gaya woh rain basera – (2) Tut gaya hanso kaa daina – (2) Kaha woh bachpan kaa pyara sapna
Swarg bhari woh prem kee raina – (2) Kaha woh bachpan kaa pyara sapna
(Abb woh din hain naa prem kee raten Yad magar hain pyar kee bate) – (2) Mann lene kee bholi ghaten – (2) Laj bhare tore do naina – (2) Pyara sapana
| Movie / Album | Adhikar - 1938 Lyrics |
| Language | Hindi |
| Singer's | Pahari Sanyal, Pankaj Mullick |