Chhun Chhun Karti Aayi Chidiya Song Lyrics - Ab Dilli Door Nahin Lyrics

Chhun Chhun Karti Aayi Chidiya Lyrics: Song from Ab Dilli Door Nahin Lyrics movie sung by mohammad rafi, song is composed by n dutta.

Chhun chhun karti aayi chidiya, dal ka dana layi chidiya Mor bhi aaya, kauwa bhi aaya, chuha bhi aaya, bandar bhi aaya Chhun chhun karti aayi chidiya……..

Bhuk lagi toh chidiya rani mung kee dal pakayegi, dal pakayegi, dal pakayegi Kauwa roti layega lake tujhe khilayega Mor bhi aaya, kauva bhi aaya, chuha bhi aaya, bandar bhi aaya Chhun chhun karti aayi chidiya……..

Chalte chalte milega bhalu, ham bolenge nacho kalu, nacho kalu, nacho kalu Munna dhol bajayega, bhalu nach dikhayega Mor bhi aaya, kauwa bhi aaya, chuha bhi aaya, bandar bhi aaya

Sath hamare chale barati, mai toh hu munne ke hathi, munne ke hathi, munne ke hathi Sidha dilli jayunga, teri dulhaniya layunga Mor bhi aaya, kauwa bhi aaya, chuha bhi aaya, bandar bhi aaya Chhun chhun karti aayi chidiya……….