Suno Sajna, Papeehe Ne Song Lyrics - Aaye Din Bahar Ke Lyrics

Lyrics of 'Suno Sajna, Papeehe Ne ' song from the bollywood movie 'Aaye Din Bahar Ke Lyrics', in the voice of singer lata mangeshkar,

Oh…. Suno sajna, papihe ne… Suno sajna papihe ne kaha sabse pukaarke Sambhal jaao chaman waalo (2) Ke aaye din bahaar ke Suno sajna….suno sajna

Phoolo, ki daaliya bhi yehi geet gaa rahi hai Ghadiya piya milan ki (nazdeek aa rahi hai) -2 Hawaao ne jo chhede hain (2) Fasaane hain woh pyaar ke Sambhal jaao chaman waalo Ke aaye din bahaar ke Suno sajna….suno sajna

Dekho, na aise dekho, marzi hai kya tumhaari Bechain na kar na dena (timko kasam hamaari) -2 Hami dushman na ban jaaye (2) Kahi apni qaraar ke Sambhal jaao chaman waalo Ke aaye din bahaar ke Suno sajna….suno sajna

Baago main pad gaye hain, Saawan ke mast jhoole Aisa sama jo dekha (raahi bhi raah bhoole) -2 Ke jee chaaha yahi rakh dein (2) Umar saari guzaar ke Sambhal jaao chaman waalo Ke aaye din bahaar ke Suno sajna….suno sajna