Bahaar-e-husn teri, mausam-e-shabaab tera Kaha se dhhundhh ke laaye koyi jawaab tera Ye subah bhi tere rukhsaar ki jhalak hi to hai Ke naam leke nikalta hai aaftaab tera
Jaha tu hai waha phir chaandni ko kaun poochhega Tera dar ho to jannat ki gali ko kaun poochhega
Kali ko haath mein lekar bahaaron ko na sharmaana Zamaana tujhko dekhega kali ko kaun poochhega
Farishton ko pata dena na apni rahguzaaron ka Wo kaafir ho gaye to bandagi ko kaun poochhega
Kisiko muskuraake khubsoorat maut na dena Qasam hai zindagi ki, zindagi ko kaun poochhega
| Movie / Album | Aao Pyar Karen (1964) Lyrics |
| Language | Hindi |
| Lyricist | Rajinder Krishan |
| Singer's | Mohammad Rafi |
| Music Director | Usha Khanna |
| Year | 1964 |
| Starring | Joy Mukherjee, Saira Banu |