Milati Hai Zindagi Mein Mohabbat Song Lyrics - Aankhen (1968) Lyrics

Milati Hai Zindagi Mein Mohabbat lyrics from Aankhen (1968) Lyrics is a hindi movie , this movie released in . The soundtrack album is composed by ravi.

Milati hai zindagi mein mohabbat kabhi kabhi Hoti hai dilbaro ki inayat kabhi kabhi

Sharma ke muh na pher nazar ke sawal par Lati hai aise mod par kismat kabhi kabhi

Khulate nahi hain roj dariche bahar ke Aati hai janeman ye kayamat kabhi kabhi

Tanha na kat sakenge jawani ke raste Pesh aayegi kisiki zarurat kabhi kabhi

Phir kho na jaye ham kahi duniya ki bhid mein Milati hai pas aane ki muhalat kabhi kabhi

Hoti hai dilbaro ki inayat kabhi kabhi Milati hai zindagi mein mohabbat kabhi kabhi