Har chehra yahan chaand to har zarra sitara Ye vaadi-e-kashmir hai ( jannat kaa nazaaraa ) -2 Har chehra yahaan …
Hasati hain jo kaliyaa to hasin phul hain khilate Hain log yahaan jaise utar aaye farishte Har dil se nikalti hai yahaan pyar ki dhaara Ye vaadi-e-kashmir …
Ye chotiyan barafon ki hain aazadi ka parcham Hansti hai gulami pe ye inasan ki hardam Deti hai aakash ko baahon ka sahara Ye vaadi-e-kashmir …
Din-raat hava saaj bajati hai suhaane Nadiyon ke labon par hain mohabbat ke taraane Masti mein hai duba hua behosh kinara Ye vaadi-e-kashmir …
Ye jalva-e-rangin hai kisi khwab ki taabir Yaa phulon mein baithi hui dulhan ki hai tasvir Ya tham gaya chalta huaa pariyon ka shikara Ye vaadi-e-kashmir …
| Movie / Album | Aabroo Lyrics |
| Language | Hindi |
| Singer's | Mohammad Rafi |